Shabnam Se Likhun Ashkon Se Likhun Main Dil Ki Kahani Kaise Likhun

shabnam se likhun ashkon se likhun main dil ki kahani kaise likhun

phulon pe likhun hathon pe likhun honTon ki zabani kaise likhun

har samt yahan hai ret abhi kis tarah chalun ta-umr yahan

is ret pe bante naqsh nahin ab apni nishani kaise likhun

ye uljhan to bas uljhan hai kuchh pana hai kuchh khona hai

sahil ki tamanna karte hue maujon ki rawani kaise likhun

kyun ret pe DhunDhte phirte ho ab hath na aaega ye sarab

ye baat haqiqat hai lekin main dil ki zabani kaise likhun

hain dil ki baaten yun to bahut kuchh kahna hai kuchh sunna hai

is kaghaz ke ek TukDe par main apni kahani kaise likhun

har daur naya hai baat nai mayus nahin hai phir bhi 'kiran'

in bichhDe hue andhiyaron ki hai baat purani kaise likhun

(1576) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shabnam Se Likhun Ashkon Se Likhun Main Dil Ki Kahani Kaise Likhun In English By Famous Poet Kavita Kiran. Shabnam Se Likhun Ashkon Se Likhun Main Dil Ki Kahani Kaise Likhun is written by Kavita Kiran. Read famous Poem Shabnam Se Likhun Ashkon Se Likhun Main Dil Ki Kahani Kaise Likhun for youth and Student by Kavita Kiran. Free Download Shabnam Se Likhun Ashkon Se Likhun Main Dil Ki Kahani Kaise Likhun in PDF.