Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8fba04576aa20626646b865f06b76722, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhko Kabhi Bhi Un Se Shikayat Hui Nahin - Kavita Kiran Poetry In English - Darsaal

Mujhko Kabhi Bhi Un Se Shikayat Hui Nahin

mujh ko kabhi bhi un se shikayat hui nahin

shayad isi liye to mohabbat hui nahin

ghairon se mehrbani ki ummid kya karen

hum par to aap ki bhi inayat hui nahin

wo log kuche kuche bhaTakne lage hain aaj

jin ko KHud apne ghar se bhi chahat hui nahin

hum hi to the jo waqt pe hi kaam aa gae

achchha hua ki hum se adawat hui nahin

main ne kabhi kisi ka dukhaya nahin hai dil

mujh ko kabhi kisi se nadamat hui nahin

tufan-e-baad-o-baran mein sab bah gaya 'kiran'

barsat ab ki bais-e-rahmat hui nahin

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Kabhi Bhi Un Se Shikayat Hui Nahin In English By Famous Poet Kavita Kiran. Mujhko Kabhi Bhi Un Se Shikayat Hui Nahin is written by Kavita Kiran. Read famous Poem Mujhko Kabhi Bhi Un Se Shikayat Hui Nahin for youth and Student by Kavita Kiran. Free Download Mujhko Kabhi Bhi Un Se Shikayat Hui Nahin in PDF.