Mila Tha Koi Sar-e-rah Ajnabi Ki Tarah
mila tha koi sar-e-rah ajnabi ki tarah
aziz lagta hai jo mujh ko zindagi ki tarah
wo ek shaKHs andheron mein jis ne chhoD diya
wo ab bhi rahta hai aankhon mein raushni ki tarah
ye aarzu meri barson ki hai ki aap milen
farishta ban ke nahin ban ke aadmi ki tarah
sameT rakkha tha jis kahkashan ko daman mein
wo ghar mein utri hai ek taza raushni ki tarah
hum is liye hi to palken bichhae rahte hain
bahut aziz ho tum hum ko shaeri ki tarah
wo ek sach meri aankhon mein hai 'kiran' ab bhi
jo KHwab ban ke raha dil mein raushni ki tarah
(1561) Peoples Rate This