Gham-zada Hum Hain Ye Kahna ChhoD Do
gham-zada hum hain ye kahna chhoD do
ya hamare sath rahna chhoD do
chahiye gar zindagani ka maza
waqt ki lahron mein bahna chhoD do
shak karenge log ashkon par mere
is tarah aankhon mein rahna chhoD do
zabt-e-gham achchhi alamat hai magar
phir bhi tanhai mein rahna chhoD do
jitni mil jae KHushi lete raho
gham agar mushkil hai sahna chhoD do
dushmanon se kar lo samjhauta 'kiran'
doston ka zulm sahna chhoD do
(701) Peoples Rate This