Aate Jate Log Hamein Kyun Dost Purane Lagte Hain
aate jate log hamein kyun dost purane lagte hain
chahat ki is had par yarab hum to diwane lagte hai
sunne wala koi agar hota kahte dil ki baaton ko
us ke bina to aaj adhure apne fasane lagte hain
phir se bahaaren le kar aai mahki hui si yaadon ko
aa bhi jao ab milne ke achchhe bahane lagte hain
dil karta hai phir se dekhun khoe hue us manzar ko
pyasi aankho ko wo nazare kitne suhane lagte hain
KHushbu wahi hai rang wahi hai aaj wafa ke phulon ka
aap kya aae phir se chaman mein din wo purane lagte hain
TuTi hui si ek 'kiran' hai kafi andhere walon ko
ghar mein ujala DhunDhne wale ghar ko sajaane lagte hai
(1645) Peoples Rate This