Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d67570c61660865821870661700cbc81, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wajud-e-dil Ke Darwazon Ki Kunji Kaun Rakhta Hai - Kavish Badri Poetry In English - Darsaal

Wajud-e-dil Ke Darwazon Ki Kunji Kaun Rakhta Hai

wajud-e-dil ke darwazon ki kunji kaun rakhta hai

faqiron ke barabar ganj-e-maKHfi kaun rakhta hai

wahan pahuncha diya hai mujh ko angusht-e-tafakkur ne

jahan mere siwa yaad-e-ilahi kaun rakhta hai

ye qatra kaun hai ye naqsh-e-uryan bij hai kis ka

badan mein sang-e-buniyaad-e-maani kaun rakhta hai

jala kar KHair ashya ko tanur-e-chashm-e-hasti mein

nazar koi baqa par itni gahri kaun rakhta hai

lahu sahba badan mina-e-KHaki ban gaya 'kawish'

zara dekho to yun faizan-e-saqi kaun rakhta hai

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wajud-e-dil Ke Darwazon Ki Kunji Kaun Rakhta Hai In English By Famous Poet Kavish Badri. Wajud-e-dil Ke Darwazon Ki Kunji Kaun Rakhta Hai is written by Kavish Badri. Read famous Poem Wajud-e-dil Ke Darwazon Ki Kunji Kaun Rakhta Hai for youth and Student by Kavish Badri. Free Download Wajud-e-dil Ke Darwazon Ki Kunji Kaun Rakhta Hai in PDF.