Shurua Silsila-e-did Karne Wala Tha
shurua silsila-e-did karne wala tha
taaruf-e-ruKH-e-tauhid karne wala tha
KHud us ki zud lisani ne us ko gung kiya
wo mere haal pe tanqid karne wala tha
mizaj-e-yar ne baKHshi thi aisi yak-rangi
kahan main ghair ki taqlid karne wala tha
tu muntaha ko pahunch kar bhi sifr hai ab tak
tujhe main waqif-e-tamhid karne wala tha
hamari sal mein do bar jaan jati hai
wo shaKHs roz hi ek id karne wala tha
wo mere waz se masjid mein jab sambhal na saka
sharab-KHane mein takid karne wala tha
bacha ke fikr ko talKHaba-e-tawarud se
ghazal ko KHugar-e-taqid karne wala tha
wo ham-piyala bhi tha KHwaja-e-tash bhi 'kawish'
jo baat baat pe tardid karne wala tha
(763) Peoples Rate This