Sang Aur KHisht-e-malamat Se Bacha Lo Mujhko
sang aur KHisht-e-malamat se bacha lo mujh ko
apne darbar ki diwar bana lo mujh ko
para-para ho ana aur sar-e-maghrur fana
gend ki tarah fazaon mein uchhaalo mujh ko
luqma-e-tar ne mere nafs ko barbaad kiya
yaad karte raho kankar ke niwalo mujh ko
jaane kis qabr ka hai paikar-e-KHali mera
main khilauna hun to bas toD hi Dalo mujh ko
dasht-e-pur-KHar mein hun ek shajar-e-KHam abhi
apni dahliz ka taKHta hi bana lo mujh ko
ek nazar ek nazar ek nazar ek nazar
sirf duzdida-nazar Dal ke Talo mujh ko
'kawisham' kya hai samajh mein kabhi aa jaega
gham-zada git samajh kar kabhi ga lo mujh ko
(756) Peoples Rate This