Raat Bhi Humne Ro-ro KaTi Din Bhi So Ke KHarab Kiya
raat bhi hum ne ro-ro kaTi din bhi so ke KHarab kiya
khulne wali aankhon ko bhi amdan mahw-e-KHwab kiya
ek hi roTi ko dho dho kar pite rahe hum sham-o-sahar
sari umr mein shayad hum ne ek hi kar-e-sawab kiya
rizq to hai maqsum hamara us ko dua ki hajat kyun
Dhank ke chehra dast-e-dua se hum ne KHud se KHitab kiya
us ki nazar se tir jo nikla Thik nishane par baiTha
ghayal aahu ban kar hum ne ban ban ko shadab kiya
ashk baha dene ke hunar mein sani us ka koi nahin
ek din hanste hanste us ne sab ko tah-e-sailab kiya
bachpan mein dekha tha hum ne man ka chehra yaad nahin
bu-ali-sina ban kar hum ne us ke ruKH ko kitab kiya
(740) Peoples Rate This