Lafz Ki Buhtat Itni Naqd O Fan Mein Aa Gai
lafz ki buhtat itni naqd o fan mein aa gai
masKH ho kar surat-e-mani suKHan mein aa gai
nisf aankhen khol kar hi us ne dekha tha mujhe
chalne phirne ki sakat mafluj tan mein aa gai
ab na wo ahbab zinda hain na rasm-ul-KHat wahan
ruTh kar urdu to dehli se dakan mein aa gai
us ke chehre ka mujhe mardana-pan achchha laga
chashni namkin si sare badan mein aa gai
kyun sapera-pan tere nainon mein paida ho gaya
is qadar shoKHi kidhar se bankpan mein aa gai
ek bosa honT par phaila tabassum ban gaya
jo hararat thi meri us ke badan mein aa gai
ek wahshi sinf se hum ne sharafat sikh li
panj-tan ki lau ghazal ki anjuman mein aa gai
KHuld ki taswir 'kawish' hu-ba-hu kashmir thi
lash us ki pairahan se KHud kafan mein aa gai
(719) Peoples Rate This