Kahin Charagh Jala Raushni Kahin Pahunchi
kahin charagh jala raushni kahin pahunchi
khuli thi aankh kahin zindagi kahin pahunchi
jo ru-ba-ru hai usi ki talash jari hai
nazar uThi kahin bad-qismati kahin pahunchi
hazar fasle tai kar ke bhi wahin hum hain
kahin se ho ke tumhaari gali kahin pahunchi
lahu uchhaal ke banjar zamin ko sincha tha
ghazab to ye hai ki sari nami kahin pahunchi
KHushi ka kya hai bharosa mile mile na mile
wo mere ghar ka pata DhunDhti kahin pahunchi
wo muztarib hai ki farzangi ko kuchh na mila
main mutmain hun ki diwangi kahin pahunchi
uDan meri par-o-baal se bhi aage thi
uDa ke mujh ko meri shairi kahin pahunchi
(760) Peoples Rate This