Az-sar-e-nau Fikr Ka Aaghaz Karna Chahiye
az-sar-e-nau fikr ka aaghaz karna chahiye
be-par-o-baal sahi parwaz karna chahiye
sath par rahte hain un ko Dubna aata nahin
kyun na in tinkon ko sar-afraaz karna chahiye
qurb mein duri bahut hai bod mein qurbat bahut
har tawalat ko ata ijaz karna chahiye
dil bana taus andeshe bane zagh o zaghan
zehn ko ham-paya-e-shahbaz karna chahiye
har ada mashuq ki banti hai paiman-e-wafa
laghzish-e-pa ko nazar-andaz karna chahiye
sher ki taKHliq 'kawish' fel-e-jinsi to nahin
manawi aulad par hi naz karna chahiye
(996) Peoples Rate This