Tanur-e-waqt Ki Hiddat Se Dar Gae Hum Bhi
tanur-e-waqt ki hiddat se Dar gae hum bhi
magar tapish mein tape to nikhar gae hum bhi
jahan pahunch ke musafir ke ruKH badalte hain
rah-e-hayat ke us moD par gae hum bhi
jala diya tha safina utar ke sahil par
junun-e-fath mein kya kya na kar gae hum bhi
jadid rang se maddham hua na rang-e-kuhan
qadim rang mein wo rang bhar gae hum bhi
qadam qadam pe sitam sah ke ji rahe the jise
usi hayat ki banhon mein mar gae hum bhi
na kuchh junun-e-tajassus ka puchhiye aalam
kahan kahan se na 'kausar' guzar gae hum bhi
(772) Peoples Rate This