Maut Ko Zist Ki Manzil Ka Pata Kahte Hain
maut ko zist ki manzil ka pata kahte hain
rah-raw-e-ishq fana ko bhi baqa kahte hain
ahl-e-wahshat ka na kuchh pochhiye kya kahte hain
wo to apna bhi kaha un ka kaha kahte hain
un ke kirdar ki azmat ko bhala kya kahiye
itne achchhe hain ki achchhon ko bura kahte hain
qaid-e-guftar bhi hai bandish-e-raftar bhi hai
aise mahaul ko zindan-e-bala kahte hain
be-sada barbat-e-KHamosh ko kahne walo
sunne wale to KHamoshi ko sada kahte hain
jo ghaTa chha ke na barse wo ghaTa kya hai ghaTa
han agar TuT ke barse to ghaTa kahte hain
ahl-e-haq dekh ke aaina-e-hasti 'kausar'
aks ka haal jo kahte hain baja kahte hain
(808) Peoples Rate This