Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4a65ddf4ae41ab20aa3e14619b0cb921, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Khul Gaya Uqda-e-hasti To Kafan Mang Liya - Kausar Siwani Poetry In English - Darsaal

Khul Gaya Uqda-e-hasti To Kafan Mang Liya

khul gaya uqda-e-hasti to kafan mang liya

zist ne maut se jine ka chalan mang liya

phuT kar sina-e-kohsar se bahne ke liye

chashma-e-ab ne daman-e-daman mang liya

kya tajjub hai agar mang li chehre se naqab

daur-e-hazir ne to pairahan-e-tan mang liya

ban gaya halqa-e-zulmat jo paDa aks-e-zamin

chand ne KHud to nahin baDh ke gahan mang liya

jis ki aaghosh mein mazi ki amanat thi nihan

us ne manga to wahi qasr-e-kuhan mang liya

jalne walon ne bhi shahnaz-e-ghazal se 'kausar'

husn-e-fan mang liya rang-e-suKHan mang liya

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khul Gaya Uqda-e-hasti To Kafan Mang Liya In English By Famous Poet Kausar Siwani. Khul Gaya Uqda-e-hasti To Kafan Mang Liya is written by Kausar Siwani. Read famous Poem Khul Gaya Uqda-e-hasti To Kafan Mang Liya for youth and Student by Kausar Siwani. Free Download Khul Gaya Uqda-e-hasti To Kafan Mang Liya in PDF.