Teri Zulfen Tere RuKHsar Tere Lab Mere
teri zulfen tere ruKHsar tere lab mere
jitne pahlu hain tere husn ke wo sab mere
us se ab tark-e-mohabbat ka gila kya mani
mujh ko taslim ki atwar the beDhab mere
phir wahi chand sar-e-shahr chaDhe to ai kash
us se raushan hon dar-o-baam bas ek shab mere
jin ka har lamha guzarta tha meri qurbat mein
dur o nazdik nazar aate nahin ab mere
mujh se katra ke guzar jate hain derina rafiq
raste dekhte hain saKHt kaThin jab mere
ab agar khul hi gae ho to chalo yunhi hi sahi
warna tum dost to pahle bhi rahe kab mere
kyun mujhe shiddat-e-ehsas ata ki itni
tujh se insaf ka talib hun main ai rab mere
KHalq ki sang-zani ka hai ye 'kausar' ehsan
tah mein jis ke gae sab husn o qubah dab mere
(1499) Peoples Rate This