Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_210cd1ff315d9cacfb1400c0c00a19dd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kis Qayamat Ka Na Jaane Wo Andhera Hoga - Kausar Niyazi Poetry In English - Darsaal

Kis Qayamat Ka Na Jaane Wo Andhera Hoga

kis qayamat ka na jaane wo andhera hoga

jis ne KHurshid-e-jahan-tab ko ghera hoga

han isi parda-e-zulmat se ubhregi sahar

panja-e-shab se kahan qaid sawera hoga

kis se us husn ka afsana kahun jis ke liye

main ne socha bhi nahin tha kabhi mera hoga

raat bhar di hai dar-e-dil pe kisi ne dastak

wo ye kahta hai nahin koi luTera hoga

aaj ji bhar ke use dekh le 'kausar' sar-e-baam

jaane un galiyon mein phir kab tera phera hoga

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Qayamat Ka Na Jaane Wo Andhera Hoga In English By Famous Poet Kausar Niyazi. Kis Qayamat Ka Na Jaane Wo Andhera Hoga is written by Kausar Niyazi. Read famous Poem Kis Qayamat Ka Na Jaane Wo Andhera Hoga for youth and Student by Kausar Niyazi. Free Download Kis Qayamat Ka Na Jaane Wo Andhera Hoga in PDF.