KHayal-e-tark Ulfat Ham-nashino Aa Hi Jata Hai
KHayal-e-tark-e-ulfat ham-nashino aa hi jata hai
wafur-e-be-dili mein aadmi ghabra hi jata hai
tabahi ki ghaDi shayad zamane par nahin aai
abhi apne kiye par aadmi sharma hi jata hai
nigah-e-dost ke aage sipar lana hai la-hasil
ye tir-e-nim-kash qalb o jigar barma hi jata hai
nazar aata nahin jis ko hujum-e-shauq mein kuchh bhi
fareb-e-rahnuma aksar wo rah-rau kha hi jata hai
nahin narmak-KHirami karwan ki be-sabab 'kausar'
KHamoshi se jo uThta hai wo baadal chha hi jata hai
(845) Peoples Rate This