Baat Qismat Ki To Kuchh Ai Dil-e-nakaam Nahin
baat qismat ki to kuchh ai dil-e-nakaam nahin
apni taqsir hai ye gardish-e-ayyam nahin
ai masiha kabhi tu bhi to use dekhne aa
tere bimar ko sunte hain ki aaram nahin
ek wo jin ke tasarruf mein hain sab mai-KHane
ek hum jin ke liye durd-e-tah-e-jam nahin
mujh ko ye gham ki unhen dekhne wale hain bahut
un ko shikwa ki yahan zauq-e-nazar aam nahin
safar-e-ishq mubarak ho ki is mein 'kausar'
gham-e-aghaz nahin KHatra-e-anjam nahin
(771) Peoples Rate This