Wo Ek Aag
ek ajab aag si hai sine mein
jaise ho sina-e-shamshir ki aag
ek ajab aag si hai baatin mein
jaise ho nala-e-shabgir ki aag
jaise ek shoala-e-jawwala falak ko chhu le
sina-e-sard mein mere hai wahi aag abhi
toda-e-barf se jo bujh na sake
ban ke shoala ye baDhi jati hai
su-e-aflak uThi jati hai
us ki zad mein hain
ye ashya-e-nizam-e-alam
bas ki ek KHauf hai pahlu mein mere
apni hi aag se afkar na jal jaen kahin
sochta hun ki dua hi mangun
mere aatish-kada-e-sina ko
mera rab lutf-o-karam ka koi chashma kar de
(674) Peoples Rate This