Ghair-marai Taqat
koi ghair-marai si taqat to hogi
jilau mein jo le kar
har ek ruh-e-tifl-o-jawan ko
KHamoshi se su-e-falak kuch karti hai akasr
koi bap masum beTe ko thame
dawa de raha hai, har ek sans ke zer-o-bam par nazar hai
udhar us ki jaan jism se ja rahi hai
magar kuchh nazar bhi na aae, samajh mein na aae
abhi khelta tha, abhi dekhta tha
abhi to, abhi, han abhi band aankhen hui hain
ye dekho labon par,
ajab ek masum si muskurahaT hai baqi
magar koi jumbish nahin hai
ramaq zindagi ki na baqi hai koi
koi ghair-marai si taqat to hogi,
jo aahistagi se chali aati hogi
KHamoshi se aaghosh mein apni,
masum ruhon ko le kar chali jati hogi
yaqinan koi ghair-marai si taqat hai warna
agar koi marai si taqat jo hoti
to nadan insan bahut ghul machata
magar ye nizam-e-ilahi badalta nahin hai
(771) Peoples Rate This