Dasht-e-taKHayyul Ki Nafi
mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna agar aata
tawaf-e-kaba karta, zindagi ko samt mil jati
sahife dil ke sab bikhre hue mere sanwar jate
gham-o-alam mere bhi,
ghubar-e-rah ban jate
mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna agar aata
tazadat ab jo paida hain, wo paida hi nahin hote
kahin kunj-e-sukun misl-e-madina mujh ko mil jata
mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna agar aata
jinhen dasht-e-taKHayyul ka safar karna bhi aata hai
hawa ke dosh par uDte hain misl-e-gard-e-awara
gidhon ka jhunD ki manDla raha ho jaise murdon par
mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna nahin aata
nahin aata to achchha hai, nahin aae to achchha hai
(731) Peoples Rate This