Ye To Achchha Hai Ki Dukh-dard Sunane Lag Jao

ye to achchha hai ki dukh-dard sunane lag jao

har kisi ko na magar zaKHm dikhane lag jao

nil ke paniyo raste mein na hail hona

kya pata zarb-e-kalimi se Thikane lag jao

kitni mushkil se to aae ho zara Thahro bhi

sahl andaz mein is tarah na jaane lag jao

samne aao to jaise ki gul-e-tar koi

aur tanhai mein phir ashk bahane lag jao

mausam-e-dil jo kabhi zard sa hone lag jae

apna dil KHun karo phul ugane lag jao

aql samjhae to kuchh laj rakho us ki bhi

jab junun tez ho to KHak uDane lag jao

kabhi tanhai mein baiTho to faqat rote raho

phir achanak hi kabhi hansne-hansane lag jao

bojh dil par hai nadamat ka to aisa kar lo

mere sine se kisi aur bahane lag jao

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye To Achchha Hai Ki Dukh-dard Sunane Lag Jao In English By Famous Poet Kausar Mazhari . Ye To Achchha Hai Ki Dukh-dard Sunane Lag Jao is written by Kausar Mazhari . Read famous Poem Ye To Achchha Hai Ki Dukh-dard Sunane Lag Jao for youth and Student by Kausar Mazhari . Free Download Ye To Achchha Hai Ki Dukh-dard Sunane Lag Jao in PDF.