Jaane Kis KHwab-e-pareshan Ka Hai Chakkar Sara
jaane kis KHwab-e-pareshan ka hai chakkar sara
bikhra bikhra hua rahta hai mera ghar sara
mutmain hum the bahut jit hamari hogi
kaise phir aa gaya narghe mein ye lashkar sara
baada-e-gham se hai sarshaar mera baatin bhi
aur isi gham se ujala hai ye bahar sara
main ne mangi thi dua TuT ke barse baadal
ab jo barsa hai to barsa hai ye chhappar sara
mausam-e-abr ki to baat yunhi aai thi
kyun sharabor hua aap ka paikar sara
main ne socha ki sataegi bahut pyas mujhe
pi gaya jhonk mein bas aa ke samundar sara
(733) Peoples Rate This