ZaKHm Hi ZaKHm Hain Dil Par Kabhi Aisa To Na Tha
zaKHm hi zaKHm hain dil par kabhi aisa to na tha
karam-e-yar ka nashtar kabhi aisa to na tha
phul jo mujh ko diye ban gae wo angare
waqt ayyar-o-sitamgar kabhi aisa to na tha
bastiyan raaz ki ashkon mein bahi jati hain
maujzan gham ka samundar kabhi aisa to na tha
aaj dast-e-talab uTThe to qalam ho jae
daur-e-mahrumi-e-saghar kabhi aisa to na tha
aane wale nahin jab wo to ye raunaq kaisi
aaj jaisa hai mera ghar kabhi aisa to na tha
chhin gai ho na tajalli kahin diwaron se
shor maiKHane ke bahar kabhi aisa to na tha
panw rakkha tha jahan sarw mein KHam hai ab tak
jada-e-ishq mein patthar kabhi aisa to na tha
(771) Peoples Rate This