Wadi-e-kun Se Gham-e-marhala-paima Nikla
wadi-e-kun se gham-e-marhala-paima nikla
meri kashti ko liye waqt ka dariya nikla
pa-e-idrak mein chubhta hua kanTa nikla
ishq ke dam mein KHud apna sarapa nikla
mehnat-e-ahl-e-wafa aa hi gai kaam aaKHir
har shigaf-e-gham-e-hasti se sawera nikla
aql ko naz tha had-bandi-e-KHair-o-shar par
dil ne jaancha to har ek kaam adhura nikla
us se milne ki faza saf nahin thi koi
har guzargah pe ehsas ka pahra nikla
tishnagi main ne bujha li ye hunar tha warna
KHizr ka dil bhi rah-e-umr mein pyasa nikla
KHwab dekha tha kahan chamki hai tabir kahan
hashr ka din meri fitrat ka ujala nikla
maut ki had mein bhi mujh ko na diya izn-e-qayam
saKHt mushkil teri nazron ka taqaza nikla
mauja-e-nikhat-e-gesu jise samjha main ne
wo bhi mere nafas-e-sard ka jhonka nikla
main tahi-dast hun bazar-e-wafa mein 'kausar'
sikka sikka zar-e-ummid ka khoTa nikla
(775) Peoples Rate This