TaKHliq Ke Parde Mein Sitam TuT Rahe Hain

taKHliq ke parde mein sitam TuT rahe hain

aazar hi ke hathon se sanam TuT rahe hain

Dhai kahin jati hai jo tamir-e-mohabbat

mahsus ye hota hai ki hum TuT rahe hain

suljhe na masail gham o aflas ke lekin

tafsir-e-masail mein qalam TuT rahe hain

be-faiz guzar jate hain gulshan se hamare

mausam ke bhi ab qaul-o-qasam TuT rahe hain

raqqas-e-shabistan-e-hawas tujh ko KHabar hai

aaine tere zer-e-qadam TuT rahe hain

raat aur jawan ho to ujala ho faza mein

palkon se sitare abhi kam TuT rahe hain

bedar hue jate hain ijad ke shoale

har lahza tilismat-e-adam TuT rahe hain

allah-re kashish us nigah-e-zohd-shikan ki

markaz se ghazalan-e-haram TuT rahe hain

allah ke hote mujhe kyun fikr ho 'kausar'

bandon ke jo aain-e-karam TuT rahe hain

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaKHliq Ke Parde Mein Sitam TuT Rahe Hain In English By Famous Poet Kausar Jayasi. TaKHliq Ke Parde Mein Sitam TuT Rahe Hain is written by Kausar Jayasi. Read famous Poem TaKHliq Ke Parde Mein Sitam TuT Rahe Hain for youth and Student by Kausar Jayasi. Free Download TaKHliq Ke Parde Mein Sitam TuT Rahe Hain in PDF.