Suno To Zara Ye AaKHir-e-shab Nafir-e-dua Ajib Si Hai
suno to zara ye aaKHir-e-shab nafir-e-dua ajib si hai
zaman-o-makan pe chhai hui junun ki nawa ajib si hai
nizam naya shuur naya misal-e-ata ajib si hai
sawal pe hath kaTte hain talab ki saza ajib si hai
jigar pe har ek sinan-e-nazar jo sahte hue guzar gae hum
jawab mein ab harifon ki shikast-e-ana ajib si hai
ye pas-e-bahaar ashk piye jo dard baDha to sher kahe
bataen kise hamari tabahiyon ki ada ajib si hai
utar gae chehre gardishon ke laraz gai jaan faslon ki
shikasta dilon ke qafile mein fughan-e-dara ajib si hai
zamane ke sard-o-garm se kab mili hai aman mujhe 'kausar'
wajud-e-nafas ko baKHshi hui karam ki qaba ajib si hai
(710) Peoples Rate This