Karte Hain Wahi Log Jahan Taza-tar Aabaad
karte hain wahi log jahan taza-tar aabaad
har daur mein rakhte hain jo sina sharer-abaad
pur-shor gulistan hain na ab dasht-o-dar aabaad
kya jaane kahan ho gae ahl-e-nazar aabaad
Thahraw kisi shai ke muqaddar mein nahin hai
duniya hai wo jada jise kahiye safar-abaad
KHwabon ke sanam-KHane salamat hain to yunhi
fitnon se rahega KHam-e-zulf-o-kamar aabaad
hamsaegi-o-rabt ki KHushbu bhi kahin hai
karti hain bahaaren to nagar par nagar aabaad
naghmon se jahan raushni-e-dard thi kal tak
sannaTe se hai aaj wo shaKH-e-shajar aabaad
'kausar' hai suKHan-tab mera shahr-e-taKHayyul
is shahr mein hain aaj bhi aaina-gar aabaad
(841) Peoples Rate This