Ye Aur Baat Ki Aage Hawa Ke Rakkhe Hain

ye aur baat ki aage hawa ke rakkhe hain

charagh rakkhe hain jitne jala ke rakkhe hain

nazar uTha ke unhen ek bar dekh to lo

sitare palkon pe hum ne saja ke rakkhe hain

karenge aaj ki shab kya ye sochna hoga

tamam kaam to kal par uTha ke rakkhe hain

kisi bhi shaKHs ko ab ek nam yaad nahin

wo nam sab ne jo mil kar KHuda ke rakkhe hain

unhen fasane kaho dil ki dastanen kaho

ye aaine hain jo kab se saja ke rakkhe hain

KHulus dard mohabbat wafa rawadari

ye nam hum ne kisi aashna ke rakkhe hain

tumhaare dar ke sawali banen to kaise banen

tumhaare dar pe to kanTe ana ke rakkhe hain

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aur Baat Ki Aage Hawa Ke Rakkhe Hain In English By Famous Poet Kashmiri Lal Zakir. Ye Aur Baat Ki Aage Hawa Ke Rakkhe Hain is written by Kashmiri Lal Zakir. Read famous Poem Ye Aur Baat Ki Aage Hawa Ke Rakkhe Hain for youth and Student by Kashmiri Lal Zakir. Free Download Ye Aur Baat Ki Aage Hawa Ke Rakkhe Hain in PDF.