Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_afef7f02377fcf0e2f62f0bad800b2d4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shabnam Mein Chandni Mein Gulabon Mein Aaega - Kashmiri Lal Zakir Poetry In English - Darsaal

Shabnam Mein Chandni Mein Gulabon Mein Aaega

shabnam mein chandni mein gulabon mein aaega

ab tera zikr sari kitabon mein aaega

jo lamha kho gaya hai use phir na DhunDhna

jo chand Dhal chuka hai wo KHwabon mein aaega

dukh de rahi hain us ki ye barfili aadaten

pighlega ek din to sharabon mein aaega

pahchan bhi sakoge nahin apne nam ko

aaega bhi to itne hijabon mein aaega

jab tera nam husn ki tariKH ban gaya

phir mera zikr dil ki kitabon mein aaega

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shabnam Mein Chandni Mein Gulabon Mein Aaega In English By Famous Poet Kashmiri Lal Zakir. Shabnam Mein Chandni Mein Gulabon Mein Aaega is written by Kashmiri Lal Zakir. Read famous Poem Shabnam Mein Chandni Mein Gulabon Mein Aaega for youth and Student by Kashmiri Lal Zakir. Free Download Shabnam Mein Chandni Mein Gulabon Mein Aaega in PDF.