Dasht-e-umr
par karna hai mujh ko dasht-e-umr
meri manzil-e-adam hai us ke par
aage kitna tawil rasta hai
aur kitna kaThin nahin malum
shauq-e-manzil mujhe na zauq-e-safar
ham-safar hai na hai koi rahbar
aur har gam par sarab koi
hai meri tishnagi baDhane ko
chal raha hun mein be-dili ke sath
ye safar mujh pe hai garan lekin
main use tark kar nahin sakta
main to pal-bhar Thahar nahin sakta
ye muqaddar hai ya ki majburi
chalte rahna hai mujh ko har surat
(1462) Peoples Rate This