Main Udas-raat Ka Chand Hun Ghane Baadalon Mein Ghira Hua
main udas-raat ka chand hun ghane baadalon mein ghira hua
meri tab ki ho KHabar kise main rida-e-gham mein chhupa hua
nahin phul main ki meri taraf kisi KHush-nazar ki nigah ho
main to ek zard sa pat hun kahin raste mein paDa hua
mujhe Dar tha jis ka wahi hua meri aankh khulte hi jhaD gaya
teri palkon par mere wasl ka tha jo ek KHwab saja hua
meri dhaDkanen thin baDhi hui mere honT jaise sile hue
main bayan haal na kar saka tere samne mujhe kya hua
ye adawaton ki subuk hawa use sah sakun kahan hausla
main wo peD hun ki mohabbaton ki faza mein phula-phala hua
ye dayar-e-dil ye khanDar sahi magar is ki raunaqen kam nahin
yahan rang rang ke zaKHmon ka shab-o-roz mela laga hua
(3558) Peoples Rate This