Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d5a5b4f6c4e8486e2aa020ba2df536de, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek To Ye Zindagi Hi Sarasar Fareb Hai - Kashif Rafiq Poetry In English - Darsaal

Ek To Ye Zindagi Hi Sarasar Fareb Hai

ek to ye zindagi hi sarasar fareb hai

aur us pe aagahi bhi barabar fareb hai

rahne do un ko ishq-o-junun ke sarab mein

talKHi hai utni sach mein ki behtar fareb hai

tabir tere KHwab ki malum hai mujhe

tujh kushta-e-guman ka muqaddar fareb hai

ek aur aasman bhi hai is aasman par

goya yahan fareb ke upar fareb hai

hai waqia kuchh aur hi 'kashif' pas-e-hijab

jo aankh dekhti hai wo manzar fareb hai

(1110) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek To Ye Zindagi Hi Sarasar Fareb Hai In English By Famous Poet Kashif Rafiq. Ek To Ye Zindagi Hi Sarasar Fareb Hai is written by Kashif Rafiq. Read famous Poem Ek To Ye Zindagi Hi Sarasar Fareb Hai for youth and Student by Kashif Rafiq. Free Download Ek To Ye Zindagi Hi Sarasar Fareb Hai in PDF.