Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_63758a892dd6397233b7cddc2d6568df, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kab Apne Hone Ka Izhaar Karne Aati Hai - Kashif Majeed Poetry In English - Darsaal

Kab Apne Hone Ka Izhaar Karne Aati Hai

kab apne hone ka izhaar karne aati hai

ye aag mujh ko numudar karne aati hai

main din mein KHwab banata hun rang rang ke KHwab

magar ye raat unhen mismar karne aati hai

andhera jata hai jab bhi ulaT-palaT ke mujhe

to raushni mujhe hamwar karne aati hai

hawa-e-kucha-e-duniya main jaanta hun tujhe

tu jab bhi aati hai bimar karne aati hai

jo dil se hoti hui aa rahi hai meri taraf

ye lahr mujh ko KHabar-dar karne aati hai

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Apne Hone Ka Izhaar Karne Aati Hai In English By Famous Poet Kashif Majeed. Kab Apne Hone Ka Izhaar Karne Aati Hai is written by Kashif Majeed. Read famous Poem Kab Apne Hone Ka Izhaar Karne Aati Hai for youth and Student by Kashif Majeed. Free Download Kab Apne Hone Ka Izhaar Karne Aati Hai in PDF.