Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_hion8j3134tuhi02is3smht3l3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Raat Ja Chuki Wo Sitara Bhi Ja Chuka - Kashif Husain Ghair Poetry In English - Darsaal

Wo Raat Ja Chuki Wo Sitara Bhi Ja Chuka

wo raat ja chuki wo sitara bhi ja chuka

aaya nahin jo din wo guzara bhi ja chuka

is par hum khaDe hain abhi tak aur us taraf

lahron ke sath sath kinara bhi ja chuka

dukh hai malal hai wahi pahla sa haal hai

jaane ko us gali mein dobara bhi ja chuka

kya jaane kis KHayal mein umr-e-rawan gai

hathon se zindagi ke KHasara bhi ja chuka

'kashif'-husain chhoDiye ab zindagi ka khel

jita bhi ja chuka ise haara bhi ja chuka

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Raat Ja Chuki Wo Sitara Bhi Ja Chuka In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Wo Raat Ja Chuki Wo Sitara Bhi Ja Chuka is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Wo Raat Ja Chuki Wo Sitara Bhi Ja Chuka for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Wo Raat Ja Chuki Wo Sitara Bhi Ja Chuka in PDF.