Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a240a5310710e94448d5654283cf03b8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Waqt Mazdur Hai Ujrat Dije - Kashif Husain Ghair Poetry In English - Darsaal

Waqt Mazdur Hai Ujrat Dije

waqt mazdur hai ujrat dije

ek ek lamhe ki qimat dije

mujh se ye bojh nahin uTh sakta

mashwara koi mujhe mat dije

hijr ki raat nahin Dhalne ki

ab charaghon ko ijazat dije

kaam kuchh dil ke hain kuchh duniya ke

ek zara si mujhe mohlat dije

dil ko aabaad hi karna hai to phir

wahi diwar wahi chhat dije

dil hai duniya to nahin hai koi

jitni chahe ise wusat dije

KHud bhi rakh sakte hain hum apna KHayal

kya kisi aur ko zahmat dije

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Mazdur Hai Ujrat Dije In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Waqt Mazdur Hai Ujrat Dije is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Waqt Mazdur Hai Ujrat Dije for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Waqt Mazdur Hai Ujrat Dije in PDF.