Tha Bahut Shor Yahan Ek Zamane Mein Mera
tha bahut shor yahan ek zamane mein mera
ab koi aks nahin aaina-KHane mein mera
rah se aankh milane ka hunar jaan gaya
waqt to sarf hua KHak uDane mein mera
apni yakjai se tanhai se pura na hua
jitna nuqsan hua shahr basane mein mera
jaanta hun ki use meri zarurat hi nahin
warna kya jata bhala lauT ke aane mein mera
dad kya kya na harifon se mujhe milti rahi
han magar ji na laga sher sunane mein mera
koi tazir ki main ne bhi mohabbat ki hai
kuchh to hissa hai ye tahrik chalane mein mera
apne kirdar se insaf kiya hai main ne
aur kirdar nahin koi fasane mein mera
(717) Peoples Rate This