Tera KHayal Teri Tamanna Tak Aa Gaya
tera KHayal teri tamanna tak aa gaya
main dil ko DhunDhta hua duniya tak aa gaya
kya itna baDh gaya meri tishna-labi ka shor
sailab dekhne mujhe sahra tak aa gaya
lekin KHizan ki nazr kya aaKHiri gulab
har chand us mein mujh ko pasina tak aa gaya
aage rah-e-firaq mein aana hai aur kya
aankhon ke aage aaj andhera tak aa gaya
kya irtiqa-pazir hai insan ka zamir
rishton ko chhoD-chhaD ke ashya tak aa gaya
lekin kisi dariche se jhanka na koi raat
sun kar meri pukar sitara tak aa gaya
'kashif' husain yar uTho ab to chal paDo
chal kar tumhaare panw mein rasta tak aa gaya
(867) Peoples Rate This