Tera KHayal Teri Tamanna Tak Aa Gaya
tera KHayal teri tamanna tak aa gaya
main dil ko DhunDhta hua duniya tak aa gaya
kya itna baDh gaya meri tishna-labi ka shor
sailab dekhne mujhe sahra tak aa gaya
lekin KHizan ki nazr kiya aaKHiri gulab
har-chand is mein mujh ko pasina tak aa gaya
aage rah-e-firaq mein aana hai aur kya
aankhon ke aage aaj andhera tak aa gaya
kya irtiqa-pazir hai insan ka zamir
rishton ko chhoD-chhaD ke ashya tak aa gaya
lekin kisi dariche se jhanka na koi raat
sun kar meri pukar sitara tak aa gaya
'kashif'-husain yar uTho ab to chal paDo
chal kar tumhaare panw mein rasta tak aa gaya
(756) Peoples Rate This