Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f49a1b2a3bfd183874e0da6bf874f942, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamari Baat Ka UlTa Asar Na PaD Jae - Kashif Husain Ghair Poetry In English - Darsaal

Hamari Baat Ka UlTa Asar Na PaD Jae

hamari baat ka ulTa asar na paD jae

ye dil ka bojh kahin jaan par na paD jae

tamam raat sulagta hun aur sochta hun

kisi charagh ki mujh par nazar na paD jae

isi KHayal se zaKHmon ki ru-numai na ki

ki imtihan mein kahin chaara-gar na paD jae

phir is ke baad kahan jaenge ye saya-pasand

idhar ki dhup kisi din udhar na paD jae

lagi to hai ye barabar mere taaqub mein

gale hawa ke kahin ye safar na paD jae

ye dasht-e-ishq hai ghaer zara KHayal rahe

tumhaara panw kisi din idhar na paD jae

(599) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Baat Ka UlTa Asar Na PaD Jae In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Hamari Baat Ka UlTa Asar Na PaD Jae is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Hamari Baat Ka UlTa Asar Na PaD Jae for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Hamari Baat Ka UlTa Asar Na PaD Jae in PDF.