Wo Misl-e-mauj-e-bahaar Apne Shabab Ki Samt Aa Rahe Hain
wo misl-e-mauj-e-bahaar apne shabab ki samt aa rahe hain
dilon ke ghunche khila rahe hain nazar ka daman saja rahe hain
har ek zarre mein har faza mein wo husn ban kar sama rahe hain
hamari tab-e-nigah ko wo har aaina aazma rahe hain
hamare aansu suna rahe hain shikasta dil ka fasana un ko
magar qayamat ki baat hai ye wo sun ke bhi muskura rahe hain
dil-o-jigar KHun ho chuke hain hamare lab par magar hansi hai
hum apne afsana-e-wafa ko kuchh aur rangin bana rahe hain
jo mahw-e-zulm-o-sitam tha kal tak wo aaj shayad badal gaya ho
ye aarzu le ke hum dobara kisi ke kuche mein ja rahe hain
falak ka andaz kah raha hai hamare arman ka KHun hoga
abhi to aaghaz-e-shab hai aaKHir sitare kyun jhilmila rahe hain
hamari qismat ka pher dekho talash-e-manzil mein umr guzri
magar jahan se chale the kashfi wahin pe hum KHud ko pa rahe hain
(676) Peoples Rate This