Mera KHulus-e-mohabbat Bhi Kaamran Na Hua
mera KHulus-e-mohabbat bhi kaamran na hua
wo zulm Dhata raha mujh pe mehrban na hua
jabin-e-ishq jhuki hai na jhuk sakegi kabhi
bara-e-sajda agar tera aastan na hua
hai baat kya jo abhi tak khile na lala-o-gul
KHizan ke baad bhi shadab gulistan na hua
teri hansi pe luTa dete chand taron ko
hamare zer-e-asar aaj aasman na hua
wo aae mere tasawwur mein shukriya un ka
zahe-nasib mera jazb raegan na hua
kisi ke ishq ne wo hausla diya mujh ko
koi bhi gham mere dil par kabhi garan na hua
wo aashiyana ho gulshan ho ya qafas 'kashfi'
sitam zamane mein hum par kahan kahan na hua
(785) Peoples Rate This