Mera Darman Hai Na Kabe Mein Na But-KHane Mein
mera darman hai na kabe mein na but-KHane mein
rind hun mujh ko paDa rahne do mai-KHane mein
us ko samjhi hai na samjhegi majazi duniya
hai haqiqat hi haqiqat mere afsane mein
liye phirti hai mujhe manzil-e-jaanan ki talash
chain hasil hai gulistan mein na virane mein
un ke kahne se use toD dun kaise aaKHir
ilm jin ko nahin kya hai mere paimane mein
rabt-e-baham bhi ajab shai hai gale milte hi
shama ka nur nazar aata hai parwane mein
husn ru-posh hai to did ke qabil kya hai
ab kise dekhun bhala dahr ke gham-KHane mein
sinche jao ise tum apne lahu se kashfi
phul khil jaenge ek din isi virane mein
(782) Peoples Rate This