Karte Rahen Wabasta Un Se Chahe Jo Afsane Log
karte rahen wabasta un se chahe jo afsane log
ishq mein ruswai ki parwa karte hain kab diwane log
kis ko sadaen deta hai tu shahr-e-tamanna mein ai dil
kaun yahan hai tera sathi sabhi to hain begane log
kis ko sunaen haal-e-tabahi kis ko dikhaen zaKHm-e-jigar
daur-e-sitam hai rahm kahan ab zulm ke hain diwane log
shaiKH-o-barahman ki baaton mein dair-o-haram ke jhagDe hain
chaal mein in ki phir kyun aaen hum jaise mastane log
faiz-e-junun se jag uTha hai aaj muqaddar sahra ka
phul khilate hain is mein bhi dekhiye kuchh diwane log
bachte hue sab se aae the mahfil-e-zindan ki jaanib
mil hi gae uf hum ko yahan bhi kuchh jaane pahchane log
ahl-e-junun ke faiz se kashfi duniya mein bedar hi hai
baat pate ki kah dete hain akasr ye diwane log
(763) Peoples Rate This