Hausle Aur Siwa Ho Gae Parwanon Ke
hausle aur siwa ho gae parwanon ke
shoale arman baDha dete hain diwanon ke
yahi aalam hai agar laghzish-e-mastana ka
Dher lag jaenge TuTe hue paimanon ke
taur badla na agar ahl-e-chaman ne apna
nazar aaenge manazir yahin viranon ke
aah-e-mazlum agar dil se nikal jaegi
KHak par Dher nazar aaenge aiwanon ke
qissa-e-sarmad-o-mansur na chheD ai hamdam
warna jazbaat bhaDak uThenge diwanon ke
aap mahfil mein na aate to bahut achchha tha
aaj to hosh uDe jate hain farzanon ke
daur-e-hazir ki kashakash ka ye aalam hai ki bas
hausle past hue jate hain insanon ke
kya bigaDegi bhala shorish-e-tufan us ka
jis ne ruKH moD diye barha tufanon ke
dosto baaten banate ho sar-e-sahil kya
aao ruKH moD ke dekhen zara tufanon ke
us se ummid-e-karam kya kare koi 'kashfi'
kaam aata ho jo apnon ke na beganon ke
(716) Peoples Rate This