Hai Barham Phir Mizaj Un Ka Dil-e-nakaam Kya Hoga
hai barham phir mizaj un ka dil-e-nakaam kya hoga
yahi surat rahi to ishq ka anjam kya hoga
KHalish dil mein jigar mein dard lab par mohr-e-KHamoshi
ye surat hai to phir mujh ko bhala aaram kya hoga
ye bazm-e-naz hai ai dil yahan behtar hai KHamoshi
suna kar un ko apna qissa-e-alam kya hoga
yahi hai zohd ka aalam to phir ai hazrat-e-naseh
sharab-e-hauz-e-kausar ka chhalakta jam kya hoga
abhi se aankh mein aansu hain lab par aah dil mein dard
ye aaghaz-e-mohabbat hai to phir anjam kya hoga
KHudara ye bhi socho ai chaman ke chhoDne walo
hain jo sahn-e-chaman mein in ka ab anjam kya hoga
koi badnam ho jae to is ko bhi bahut samjho
hai ye duri KHudi is mein kisi ka nam kya hoga
abhi to shab hai aao pyar ki baaten karen hum tum
abhi se kyun ye sochen subh ka paigham kya hoga
jidhar dekho udhar zulmat nazar aati hai ai 'kashfi'
sahar ka rang hai jab ye to rang-e-sham kya hoga
(877) Peoples Rate This