Gham Se Ghabra Ke Qayamat Ka Talabgar Na Ban
gham se ghabra ke qayamat ka talabgar na ban
itna mayus-e-karam ai dil-e-bimar na ban
KHwahish-e-did hai to tab-e-nazar paida kar
warna behtar hai yahi talib-e-didar na ban
mujhe manzur hai ye barq gira de mujh par
mujh se begana magar ai nigah-e-yar na ban
daman-e-haal ko bhi phulon se bhar de nadan
sirf mustaqbil-e-rangin ka taraf-dar na ban
bil-yaqin manzil-e-maqsud milegi mujh ko
na-umidi tu meri rah ki diwar na bun
hai rihai ki tamanna to gira de diwar
qaid-e-zindan mein rahin-e-gham-e-diwar na ban
laeq-e-hamd hai wo jis ki ziya hai un mein
kam-nazar chand sitaron ka parastar na ban
main KHatawar hun to mujh ko miTa de sayyaad
sare gulshan ke liye bais-e-azar na ban
aise iqdam ka hasil hai yahan nakaami
bazm-e-saqi hai ye 'kashfi' yahan KHuddar na ban
(959) Peoples Rate This