ChaTak Ke Ghunche Sunate Hain Kis Ka Afsana
chaTak ke ghunche sunate hain kis ka afsana
ye kaun aa gaya gulshan mein be-hijabana
hamara hausla-e-dil agar salamat hai
badal hi denge kisi din nizam-e-mai-KHana
na hosh aaega us ko tere karam ke baghair
teri talash mein jo ho gaya hai diwana
yahi hai maslahat-e-waqt sab ko Thukra dun
mujhe samajhti hai duniya to samjhe diwana
kisi ke husn ki tabaniyon ka kya kahna
nigahen ho gain qurban misl-e-diwana
wahin main josh-e-haqiqat mein sar jhuka dunga
jahan milega mujhe naqsh-e-pa-e-jaanana
nasihat aap ki hai to baja magar naseh
wo kya kare ki hai jis ka mizaj rindana
wo jab se mere tasawwur mein aae hain 'kashfi'
bana hua hai tajalli-kada ye kashana
(744) Peoples Rate This