Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fc02949bcbc824e480137a2e0b9e0153, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shahr Mein Tanha Tha Lekin Karb-e-tanhai Na Tha - Karrar Noori Poetry In English - Darsaal

Shahr Mein Tanha Tha Lekin Karb-e-tanhai Na Tha

shahr mein tanha tha lekin karb-e-tanhai na tha

ghar se bahar rah ke main itna to saudai na tha

KHud-baKHud hi dost ban kar bante hain dushman ye log

warna az-KHud to mujhe zauq-e-shanasai na tha

teri nazron ne na jaane kitni izzat baKHsh di

mujh ko pahle to kabhi bhi KHauf-e-ruswai na tha

is bhari duniya mein bas ek main tamasha ban gaya

aur shayad koi bhi tera tamannai na tha

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Mein Tanha Tha Lekin Karb-e-tanhai Na Tha In English By Famous Poet Karrar Noori. Shahr Mein Tanha Tha Lekin Karb-e-tanhai Na Tha is written by Karrar Noori. Read famous Poem Shahr Mein Tanha Tha Lekin Karb-e-tanhai Na Tha for youth and Student by Karrar Noori. Free Download Shahr Mein Tanha Tha Lekin Karb-e-tanhai Na Tha in PDF.